Tag Archive | Urdu

Ghalib top shayari collection


har ek baat pe kehte ho tum ke ‘too kya hai’ ?

tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai?

[ guftgoo = conversation ]

na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada

koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai?

[ barq = lightning, tund = sharp/angry, KHoo = behavior ]

yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse

wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?

[ rashk = jealousy, ham_suKHan = to speak together/to agree, KHauf = fear, bad = bad/wicked, aamozee = education/teaching, adoo = enemy ]

chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan

hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai?

[ pairaahan = shirt/robe/cloth, haajat = need/necessity, rafoo = mending/darning ]

jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga

kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai?

[ justjoo = desire ]

ragoN meiN dauDte phirne ke ham naheeN qaayal

jab aaNkh hee se na Tapka to phir lahoo kya hai ?

woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez

siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?

[ bahisht (or bihisht, both are correct) = heaven, baada = wine, gul_faam = delicate and fragrant like flowers, mushkaboo = like the smell of musk ]

piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar

yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?

[ KHum = wine barrel, qadah = goblet, kooza/suboo = wine pitcher ]

rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee

to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?

[ guftaar = speech/discourse ]

huaa hai shaah ka musaahib, phire hai itaraata

wagarna shehar meiN ‘GHalib’ kee aabroo kya hai ?

[ musaahib = comrade/associate ]

husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai

us’se mera mah-e-KHursheed-e-jamaal achcha hai

[ mah = moon, KHursheed = sun, jamaal = beauty ]

bosa dete naheeN aur dil pe hai har lahja nigaah

jee meiN kehte haiN, muft aaye to maal achcha hai

[ bosa = kiss ]

aur baazaar se le aaye agar TooT gaya

saaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai

[ saaGHar-e-jam = Badshah Jamshed’s cup, jaam-e-sifaal = clay cup ]

be_talab daiN to maza usme siwa milta hai

woh gada jisko na ho KHoo-e-sawaal achcha hai

[ be_talab = without any enquiry, gada = beggar, KHoo = habit ]

unke dekhe se jo aa jaatee hai muNh par raunaq

woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai

dekhiye paate haiN ushshaaq butoN se kya faiz ?

ik birahaman ne kaha hai, ke yeh saal achcha hai

[ ushshaaq = lovers, faiz = profit ]

ham_suKHan teshe ne farhaad ko sheereeN se kiya

jis tarah ka bhee kisee meiN ho kamaal achcha hai

[ ham_suKHan = together, tesha = axe ]

qatra dariya meiN jo mil jaaye to dariya ho jaaye

kaam achchaa hai woh, jiska ma’aal achcha hai

[ ma’aal = result ]

KHijr SultaaN ko rakhe KHaaliq-e-akbar sar_sabz

shaah ke baaGH meiN yeh taaza nihaal achcha hai

[ KHijr SultaaN = one of Badshah Zafar’s son, KHaaliq = The Creator/God, akbar = greatest, sar_sabz = fertile, nihaal = tree ]

hamko ma’aloom hai jannat ki haqeeqat lekin

dil ke KHush rakhne ko, ‘GHalib’ yeh KHayaal achcha hai

GHair leiN mehfil meiN bose jaam ke

ham rahaiN yooN tishna_lab paiGHaam ke

[ bosa = kiss, tishna = thirsty ]

KHastagee ka tumse kya shikwa ki ye

hathkanDe haiN charKH-e-neelee_faam ke

[ KHastagee = injury/sickness, shikawa = complaint, hathkanDe = tactics, charKH = sky, neelee_faam = blue colour/complexion ]

KHat likhenge garche matlab kuchch na ho

ham to aashiq haiN tumhaare naam ke

raat pee zamzam pe mai aur subh_dam

dhoye dhab’be jaam-e-‘eharaam ke

[ zamzam = a well in Kaba whose water is considered holy, mai = wine, subh_dam = at dawn, ‘eharaam = dress for ‘haj’ ]

dil ko aaNkhoN ne fasaaya kya magar

ye bhee halqe haiN tumhaare daam ke

[ halqa = ring/circle, daam = net/trap ]

shaah ke haiN GHusl-e-sehat ko KHabar

dekhiye kab din phireiN hammaam ke

[ GHusl = bath, sehat = health, hammaam = a hot bath where a masseur gives massage and bath ]

ishq ne ‘GHalib’ nikamma kar diya

warna ham bhee aadmee the; kaam ke

naqsh fariyaadee hai kiskee shoKHee-e-tehreer ka

kaaGHazee hai pairhan har paikar-e-tasweer ka

[ naqsh = copy/print, fariyaad = complaint, tehreer = hand writing, kaaGHazee = delicate, pairhan = dress, paikar = appearance ]

kaave-kaave saKHt_jaanee haay tanhaaee na pooch

subah karna shaam ka laana hai joo-e-sheer ka

[ kaave-kaave = hard work, saKHt_jaanee = tough life, joo = canal/stream, sheer = milk, joo-e-sheer = to create a canal of milk, here means to perform an impossible task ]

jazba-e-be_iKHtiyaar-e-shauq dekha chaahiye

seena-e-shamsheer se baahar hai dam shamsheer ka

[ iKHtiyaar = authority/power, shamsheer = sword ]

aagahee daam-e-shuneedan jis qadar chaahe bichaaye

mudda’a ‘anqa hai apne aalam-e-taqreer ka

[ aagahee = knowledge/intution, daam = net/trap, shuneed = conversation, ‘anqa = rare, aalam = world/universe, taqreer = speech/discourse ]

bus ke hooN ‘GHalib’ aseeree meiN bhee aatish zer-e-pa

moo-e-aatish_deeda hai halqa meree zanjeer ka

[ aseeree = imprisonment/captivity, zer-e-pa = under the feet, moo = hair, aatish_deeda = roasted on fire, halqa = ring/circle ]

kabhee nekee bhee uske jee meiN gar aa jaaye hai mujhse

jafaayeN karke apnee yaad sharma jaaye hai mujhse

[ jafaayeN = opression/tyranny of a beloved ]

KHudaaya ! jazbaa-e-dil kee magar taaseer ulTee hai

ki jitna khiNtchataa hooN aur khiNtchtaa jaaye hai mujhse

[ jazbaa-e-dil = emotions, taaseer = impression ]

woh bad_KHoo aur meree daastan-e-ishq tulaanee

ibaarat muKHtasar, qaasid bhee ghabra jaaye hai mujhse

[ bad_KHoo = bad habits, tulaanee = long, ibaarat = diction/admonishing, muKHtasar = concise, qaasid = messenger ]

udhar woh bad_GHumaanee hai, idhar yeh naatavaanee hai

na poocha jaaye hai us’se, na bola jaaye hai mujhse

[ badGHumaanee = suspicion, naatavaanee = weakness ]

sambhalne de mujhe ‘ei na_ummidee kya qayaamat hai

ki daamaan-e-KHayaal-e-yaar chooTa jaaye hai mujhse

takalluf bartaraf nazzaaragee meiN bhee sahi, lekin

woh dekha jaaye, kab ye zulm dekha jaaye hai mujhse

[ taqalluf = hesitation/formality, bartaraf = suspend ]

hue haiN paaNv hee pehle nabard-e-ishq meiN zaKHmee

na bhaaga jaaye hai mujhse, na Thehra jaaye hai mujhse

[ nabard-e-ishaq = struggle in love ]

qayaamat hai ke howe muddaee ka ham_safar ‘GHalib’

woh kaafir, jo KHuda ko bhee na sauNpa jaaye hai mujhse

dil se teree nigaah jigar tak utar gayee

donoN ko ik adaa meiN razaamand kar gayee

shaq ho gaya hai seena, KHushee lazzat-e-firaaq

takleef-e-pardaadaari-e-zaKHm-e-jigar gayee

[ shaq = crack/split, firaaq = separation, pardaadaaree = to hide, esp. fault ]

woh baada-e-shabaana kee sar mastiyaaN kahaaN ?

uThiye bas ab ki lazzat-e-KHwaab-e-sahar gayee

[ baada = wine, shabaana = night, sahar = morning ]

uDtee phire hai KHaak meree koo-e-yaar se

baare ab ‘ei hawa, hawas-e- baal-o-par gayee

[ baare = at last, koo-e-yaar = lover’s street ]

dekhooN to dil_farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-pa

mauj-e-KHiraam-e-yaar bhee kya gul katar gayee

[ dil_fareb = heart alluring, naqsh = copy/print, pa = leg, mauj = wave/enjoyment, KHiraam = speed ]

har bulhawas ne husn_parastee shiaar kee

ab aabru-e-sheva-e-‘ehl-e-nazar gayee

[ bulhawas = greedy, husn_parastee = to appreciate beauty, shiaar = habit, aabru = respect/honour, sheva = manner/habit ]

nazzaare ne bhee kaam kiya waaN naqaab ka

mastee se har nigaah tere ruKH par bikhar gayee

farda-o-dee ka tafarqa yak baar mit gaya

kal tum gaye ke ham pe qayaamat guzar gayee

[ farda = yesterday, dee = tomorrow, tafarqa = difference ]

maara zamaane ne ‘Asadullah KHaaN’ tumhe

woh walwale kahaaN, woh jawaanee kidhar gayee ?

[ walwale = enthusiasm ]

miltee hai  KHoo-e-yaar se  naar  iltihaab meiN

kaafir hooN gar na miltee ho raahat ‘azaab meiN

[ KHoo-e-yaar = lover’s nature/behavior/habit, naar = fire, iltihaab = flame, ‘azaab = sorrow ]

kab  se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab meiN ?

shab  haaye hijr ko bhee rakhooN gar hisaab meiN

[ jahaan-e-KHaraab = world of problems, shab = night, hijr = separation ]

taa phir  na intezaar meiN neeNd aaye ‘umr bhar

aane  ka ‘ahad  kar  gaye  aaye  jo KHwaab meiN

[ taa = so that, ‘ahad = promise ]

qaasid  ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN

maiN jaanta hooN  jo woh likhenge jawaab meiN

[ qaasid = messenger ]

mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha daur-e-jaam

saaqee ne  kuchch mila  na  diya ho  sharaab meiN

[ bazm = meeting/”mehafil”, saaqee = bar tender ]

jo   munkir-e-wafa   ho  fareb  us  pe  kya  chale ?

kyooN badGHumaaN hooN dost se dushman ke baab meiN ?

[ munkir-e-wafa = one who denies loyalty, fareb = illusion/fraud badGHumaaN = suspicious, baab = company ]

maiN muztarib hooN wasl meiN KHauf-e-raqeeb se

Daala hai  tumko weham ne kis pech-o-taab meiN

[ muztarib = anxious/disturbed, wasl = meeting with the lover, KHauf = fear, raqeeb = opponent, pech-o-taab = predicament ]

mai aur haz’z-e-wasl, KHudaa_saaz baat hai

jaaN nazr  denee bhool  gaya iztiraab meiN

[ mai = bar, haz’z-e-wasl = joy of meeting, KHudaa_saaz = god’s gift, iztiraab = anxiety ]

hai  tevaree  chaDee  huee andar  naqaab ke

hai ik shikan paDee huee tarf-e-naqaab meiN

[ shikan = wrinkle, tarf = eyelid ]

laakhauN lagaav, ik churaana  nigaah ka

laakhauN banaav, ik bigaaDna itaab meiN

[ itaab = anger ]

woh naala_dil meiN KHas ke baraabar jagah na paaye

jis   naale    se   shigaaf   paDe   aaftaab  meiN

[ naala_dil = crying heart, KHas = hay/grass, shigaaf = crack, aaftaab = sun/face ]

woh sehar muddaa talbee meiN na kaam aaye

jis sehar se safina ravaaN ho saraab meiN

[ sehar = magic, muddaa talbee = fulfillment of a desire, safina = boat, ravaaN = move, saraab = mirage ]

‘GHalib’ chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee

peeta  hooN   roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab   meiN

[ abr = clouds, roz-e-abr = cloudy day, maahtaab = moon ]

daayam  paDa  huaa  tere  dar  par naheeN  hooN maiN

KHaak ‘eisee zindagee pe ke patthar naheeN hooN maiN

[ daayam = always ]

kyooN  gardish-e-mudaam se ghabra na jaaye dil ?

insaan hooN, pyaala-o-saaGHar naheeN hooN maiN

[ gardish = bad time/luck, mudaam = always ]

yaarab !  zamaana  mujhko  miTaata hai  kis liye ?

loh-e-jahaaN pe harf-e-muqarrar naheeN hooN maiN

[ harf = alphabet, muqarrar = again ]

had  chaahiye   saza  meiN  uqoobat  ke   waaste

aaKHir gunaahagaar hooN, kaafir naheeN hooN maiN

[ uqoobat = pain ]

kis   waaste   ‘azeez   naheeN   jaante   mujhe ?

laal-o-zumarrud-o-zar-o-gauhar naheeN hooN maiN

[ laal = a kind of gem, zumurrud = green colored gem, zar = gold, gauhar = gem ]

rakhte  ho tum qadam  meree  aaNkhoN se kya dareGH

rutbe meiN mehar-o-maah se kamtar naheeN hooN maiN

[ dareGH = regret/grief, mehar = sun, maah = moon ]

karte ho  mujhko  man’a-e-qadam_bos  kis liye ?

kya aasmaan ke bhee baraabar naheeN hooN maiN ?

[ bosa = kiss ]

‘GHalib’   wazifaa_KHwaar  ho,   do  shaah  ko  duaa

woh din gaye ki kehte the;, “naukar naheeN hooN maiN”

[ wazifaa_KHawaar = pensioner ]

dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?

aaKHir is dard  kee dawa kya hai

ham haiN mushtaaq aur woh bezaar

ya ilaahee ! yeh maajra kya  hai ?

[ mushtaaq = interested, bezaar = displeased/sick of ]

maiN bhee muNh meiN zabaan rakhta hooN

kaash !   poocho  ki   “muddaa kya hai” ?

jab ki tujh bin  naheeN  koee maujood

phir ye hangaama, ‘ei KHuda ! kya hai

ye  paree chehara log  kaise haiN ?

GHamza-o-ishwa-o-‘adaa   kya  hai ?

[ paree chehara = angel faced, GHamza = amorous glance, ishwa = coquetry ]

shikan-e-zulf-e-ambaree   kyoN hai ?

nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai ?

[ shikan = wrinkel/fold, ambaree = fragrance, chashm = eye ]

sabja-o-gul kahaaN se aaye haiN ?

abr kya cheez hai, hawa kya hai ?

[ abr = clouds ]

hamko unse wafa ki hai ummeed

jo naheeN jaante wafa kya hai

“haaN bhala kar tera bhala hoga”

aur darvesh kee  sada  kya  hai ?

[ darvesh = beggar, sada = voice ]

jaan tum  par nisaar karta  hooN

maiN naheeN jaanata duaa kya hai

maiNe maana ki kuchch naheeN ‘GHalib’

muft  haath  aaye  to  bura  kya hai ?

woh  aake KHwaab meiN taskeen-e-iztiraab to de

wale mujhe tapish-e-dil, mazaal-e-KHwaab to de

[ taskeen = satisfaction, iztiraab = anxiety, tapish = burn/passion,  mazaal = strength ]

kare hai  qatl lagaawat meiN  tera ro dena

teree tarah koee teGH-e-nigah ko aab to de

[ lagaawat = affection, tegh = sword, aab = cool ]

dikhaake jumbish-e-lab  hee tamaam kar  hamko

na de jo bosa, to muNh se kaheeN jawaab to de

[ jumbish = motion/vibration, bosa = kiss ]

pila  de oak se saaqee jo hamse  nafrat hai

pyaala gar naheeN deta na de, sharaab to de

[ oak = palm of the hand contracted so as to hold water ]

‘Asad’ KHushee se mere haath paaNv phool gaye

kaha  jo  usne  zara mere  paaNv  daab to  de

ghar jab bana liya hai tere dar par kahe baGHair

jaanega  ab bhee too na  mera ghar  kahe baGHair

kehte  haiN, jab  rahee na mujhe  taaqat-e-suKHan

jaanooN kisee ke dil ki maiN kyoNkar kahe baGHair

[ taaqat-e-suKHan = strength to speak ]

kaam us’se aa paDa hai ki jiska jahaan meiN

lewe na koee naam ‘sitamgar’  kahe  baGHair

[ sitamgar = oppressor ]

jee meiN hee kuchch naheeN hai hamaare, wagarna ham

sar jaaye  ya rahe,  na  rahaiN  par  kahe  baGHair

choDooNga maiN na us  but-e-kaafir ka poojna

choDe na  KHalq go mujhe kaafir kahe baGHair

[ but = idol/lover, KHalq = world ]

maqsad hai naaz-o-GHamza, wale guftagoo meiN kaam

chalta  naheeN hai, dashna-o-KHanjar kahe baGHair

[ GHamza = amorous glance, dashna = dagger ]

har  chand  ho  mushaahit-e-haq   ki  guftagoo

bantee naheeN hai baada-o-saaGHar kahe baGHair

[ mushaahit = God, baada = wine ]

behra hooN maiN to chaahiye doona ho iltafaat

sunta naheeN hooN  baat muqarrar kahe baGHair

[ iltafaat = mercy, muqarrar = again ]

‘GHalib’ na kar huzoor meiN too baar-baar ‘arz

zaahir hai tera haal  sab un par kahe  baGHair