Tag Archive | Payaar

Love Shayari Payaar Mehboob


Unki har baat dil lubhaati hai,
Har adaa, har khataa bhi bhati hai.

Dil main mere khayaal aaye to,
Baat unki zubaa.n pe aati hai.

Sab Mere haal par pareshaan hai.n
Ek woh hain ki muskuraati hai.n.

Geet meraa likhaa hi hai shaayad,
Woh jo haule se gun gunaati hai.n

Haath deewane ke de allah kuchh aisi qalam,
Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai!

Khaas Likha Hai Khat Mein, Zara Ahista Boliyega
Bhej Raha Hoon Dil Apna, Zara Ahista Kholiyega

Tu is tarah se mere dil main shamil hai
Jahan bhi jaoon lagta hai teri mahfil hai

Raste main gire hain phool, Uthata hai koi koi
Muhabbat karte hain sabhi, Nibhata hai koi koi

Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shehed
Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehmoob uski sarhad

Jukha kar utha na sake sar mere saval par,
Zulfon ka naqab gira hai, mere dil ka raaz le kar

Saamne baithe raho dil ko qaraar aa’aegaa
Jitnaa dekhenge tumheiN utnaa hi pyaar aa’aegaa

Raat Ko Jalte Diye bhi Din mai Buj jaya Karte Hai
Aur ek hum hai; jo ki Tere Pyar Me Din Raat Jala Karte Hai

Hein Chaand Tu Is Tarah Itrakar Na Dekh,
Humne Bhi Kayee Chand Dekhen Hein,
Tummhe To Daag Hein, Humne To BeDaag Dekhen Hein.

Eed ke din aap khadi na hona chhat par
Eed ke din aap khadi na hona chhat par
kahi log roza na chod de aapku chand samaj kar

Banakar tumhare dil ko basera,
tumhare dil mein rahna chahta hoon,
aaj tumse dil ki her woh baat,
mai bus kehna chahta hoon..

Jis shaam mere lab per tera naam na aaye,
Khuda kare aisi shaam na aaye….
Aai jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin,
Afsaana likhnu aur tera naam na aaye

dekhte hai duniya ki aankhon se,
aashiqon ki yehi aadat kharab hai
dil ki aankhon se dekhe gar koi,
har haseen ko samjhna aasan hai


Kaun rakhta hai yaad naamo ko,
logh insaan ko bhool jaya karte hai.
tum samandur ke baat karti ho,
logh aankho mein doob jaya karte hai.

Chand agar nikal aaye,
to ye raat sunahi ho jaye
tum bhi gar aa jao kareeb,
to mausum aur bhi rumani ho jaye

Tu kaatil tera chehra kaatil
Chehre ka ye kala til bhi katil
bhool kar bhi kahin tum dekh na lena aaina
ki kahin mar na de katil ko katil

Palakon se utha ke ye khwaab,
Sajaaye hein kadamon mein tere.
Samhaal ke rakhna kadam,
Kaheen kuchal na jayeen khwaab ye mere.

Ek nadi ke bahne ki aawaz ho tum,
chahun kho jaun usme mai gumsum,
jazbaton ke is dariya mein,
madhosh sa behna chahta hoon..
Aaj tumse dil ki her woh baat mai….